Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai – Naat lyrics

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उनकी तस्वीर सीने में मौजूद है

हम ने आँखों से देखा नहीं है
मगर उनकी तस्वीर सीने में मौजूद है
जिस ने ला कर कलाम-ए-इलाही दिया
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है

हम ने आँखों से देखा नहीं है
मगर उनका जल्वा तो सीने में मौजूद है
जिस ने ला कर कलाम-ए-इलाही दिया
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है

फूल खिलते हैं पढ़ पढ़ के सल्ले- अला
झूम कर कह रही है ये बाद-ए-सबा
ऐसी खुश्बू चमन के गुलों में कहाँ!
जो नबी के पसीने में मौजूद है

हम ने माना कि जन्नत बहुत है हसीं
छोड़ कर हम मदीना न जाएँ कहीं
यूँ तो जन्नत में सब है
मदीना नहीं और जन्नत मदीने में मौजूद है

छोड़ना तेरा तयबा गवारा नहीं
सारी दुनिया में ऐसा नज़ारा नहीं
ऐसा मंज़र ज़माने में देखा नहीं
जैसा मंज़र मदीने में मौजूद है

ना’त-ख़्वाँ:
महमूद जे.
हाफ़िज़ कामरान क़ादरी
अलीशा कियानी


Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai

(Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai)

Hum ne aankhon se dekha nahin hai
Magar unki tasveer seene mein maujood hai
Jis ne la kar kalama-e-ilahi diya
Wo Muhammad Madeene mein maujood hai

Hum ne aankhon se dekha nahin hai
Magar unka jalwa to seene mein maujood hai
Jis ne la kar kalama-e-ilahi diya
Wo Muhammad Madeene mein maujood hai

Phool khilte hain padh padh ke salla-ala
Jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-saba
Aisi khushboo chaman ke gulon mein kahaan!
Jo Nabi ke paseene mein maujood hai

Hum ne maana ke jannat bahut hai haseen
Chhod kar hum Madeena na jaaye kahin
Yoon to jannat mein sab hai
Madeena nahin aur jannat Madeene mein maujood hai

Chhodna tera Tayyaba gawara nahin
Saari duniya mein aisa nazaara nahin
Aisa manzar zamane mein dekha nahin
Jaisa manzar Madeene mein maujood hai

Na’at-Khwan:
Mahmood J.
Hafiz Kamran Qadri
Alisha Kiyani

Leave a Comment