“Kabay Ki Ronak, Kabey Ka Manzar” is a beautiful Naat by Ghulam Mustafa Qadri that captures the essence of reverence and love for the Prophet Muhammad (PBUH). The poem reflects on the divine beauty and spiritual light that surrounds the Prophet, evoking feelings of devotion and admiration.
Kaabe Ki Ronaq, Kaabe Ka Manzar
Allahu Akbar, Allahu Akbar
Dekhun to dekhe jaaun, barabar
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Hairat se khud ko kabhi dekhta hun
Aur dekhta hun kabhi main Haram ko
Laaya kahaan mujh ko mera muqaddar
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Hamd-e-Khuda se tar hain zubaanen
Kaano mein ras gholti hai azaane
Bas ek sada aa rahi hai barabar
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Maangi hai main ne jitni duaen
Manzoor hongi, maqbool hongi
Meezab-e-rehmat hai mere sar par
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Yaad aa gayi jab apni khataen
Ashkon mein dhalne lagi iltijaaen
Roya ghilaf-e-Kaaba pakad kar
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Apni ata se bulwa liya hai
Mujh par karam mere Rab ne kiya hai
Pahuncha Haatim-e-Kaaba ke andar
Allahu Akbar, Allahu Akbar
Bheja hai jannat se tujh ko Khuda ne
Chooma hai tujh ko khud Mustafa ne
Ai Sang-e-Aswad, tera muqaddar
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Jis par Nabi ke qadam ko sajaya
Apni nishani keh kar bataaya
Mehfooz rakha Rab ne wo patthar
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Dekha Safa bhi, Marwa bhi dekha
Rab ke karam ka jalwa bhi dekha
Dekha rawaan ek saron ka samandar
Allahu Akbar, Allahu Akbar!
Kaabe ke upar se jaate nahi hain
Kis ko adab ye sikhate nahi hain
Kitne muaddab hain ye kabootar
Allahu Akbar, Allahu Akbar !
Tere karam ki kya baat, Maula
Tere Haram ki kya baat, Maula
Taa umr kar de aana muqaddar
Allahu Akbar, Allahu Akbar !
Maula, Sabih aur kya chahta hai
Bas magfirat ki ata chahta hai
Bakhshish ke taalib pe apna karam kar
Allahu Akbar, Allahu Akbar !
Kaabe Ki Ronaq, Kaabe Ka Manzar !
Allahu Akbar, Allahu Akbar !
Learn More – Safar ki Dua, Dua e Masura, Istekhara dua, Dua Qunoot, Ghusl ki dua, Roza rakhne ki, Azan ke baad ki dua, Masjid me Dakhil hone ki dua, Masjid se bahar jane ki dua , sone ki dua, soke uthne ki dua , Nazar se bachne ki dua, Wazu ki dua , Islamic Ringtone, Allah se Mangne ki dua