


Ravangi ki Baat
1. Allah ke raaste mein hamara nikalna huwa Allah ke hukm se, Allah ne humein qubool farmaya.
2. Istemaayi 4 aamaal ki pabandi karna:
- Namaz
- Mashwara
- Talim
- Gash
- Umumi baat
3. Infiradi aamaal ki pabandi karna:
Nafl, Tasbeeh, Tilawat, Dua
- Seekhna sikhana
4. Itaat ke bagair koi gunjaish nahi:
- Ameer sahab ki itaat karna
- Masjid ke chaar deewaron ke andar
- Nazron ki hifazat karna
- Raat ki bedari–bedari raaton ko uth kar rona
5. Chaar cheezon ko zyada waqt dena:
- Dawat
- Ibadat
- Siraat ki dua
- Khidmat
6. Chaar cheezon mein waqt kam lagana:
- Nahane–dhone mein
- Khane–peene mein
- Sone mein
- Zarooriyat mein (peshab–pakhana)
7. Chaar cheezein nahi karna:
- Fuzool kharchi nahi karna
- Dil ka sawal nahi karna
- Zabaan ka sawal nahi karna
- Saathi ki cheez bagair ijaazat ke nahi lena
8. Chaar cheezein parhez karna:
Tamseele yaani toke
- Taqreehe yaani har kaam mein aib, nuqs nikaalna
- Tardeed yaani baat ko kaat dena
- Taqabul yaani muqablay mein aa jaana
9. Zaroori cheezein saath mein le jaana.
10. Ta’am set ke fareeqat ke barabar poori cheezein baandh lena.
11. Safar mein apne apne bag, ta’am set aur kitaabon ki bag (jismein Fazail-e-Amaal, Fazail-e-Sadaqat, Muntakhab Hadees, Mashware ki diary) iska khayaal rakhna.
12. Safar mein safar ki dua padh ke nikle aur apni apni jodi ke saath, nadamat ke saath ek raah se chale.
13. Ahista awaaz mein seekhna sikhana aur fikr ke saath ho, apni nazar ki hifazat karein.
14. Safar mein koi saathi salaam kare to sirf ek saathi uska jawab de.
15. Safar ke raste mein masjid, qabrastan dekhein to darood shareef padhein.
16. Chaar kaam khidmat mein hain:
- Ameer sahab ki khidmat karein yaani ameer ki baat maanein.
- Khud ki khidmat khud karein
- Saathiyon ki khidmat karein
- Bastiwalon ki khidmat karein