Alhamdulillah hum sabka yaqeen hai ki hamari asal zindagi aakhirat ki zindagi hai, duniya ki zindagi me mehnat karke aakhirat ki zindagi banana hai, aur hamara ye bhi yaqeen hai ki aakhirat banegi din par chalne se, aur din zindagi me aayega sifaat par mehnat karne se.
6 sifaat ka muzaakra isliye karna hai, ki in sifaat ko mehnat ke zariye apni zindagi me haasil karne ki fikr paida ho jaaye.
Jab ye 6 sifaat hume apni zindagi me mehnat ke zariye haasil ho jaayengi, to Allah taala uss kaamil deen par chalne ki isteqamat ata farmaayenge, jo kaamil deen ko lekar janaab Rasool ﷺ is duniya me tashiif laaye hai, aur uss kaamil deen hi ke andar Allah taala ne hamari aur saare insaniyat ki duniya aur aakhirat ki saaf faida kaamiyabi rakhi hai.
1) Imaan
Sifaat me sabse pehli sifaat hai Imaan
Laa ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah ﷺ.
Ye imaan ka kalma hai, kalme ka maqsad ye hai ke hamare dil ka yaqeen sahi ho jaaye, yaani Allah ke bagair se Allah ke bagair kuch nahi hota, iska yaqeen hamare dil me aa jaaye aur Allah taala apne bagair hi sab kuch karte hai, iska yaqeen dil me aa jaaye, aur huzoor ﷺ ke mubarak tareeke me saari duniya ke asbaab aur wasaa’il ke bagair duniya ki aur aakhirat ki saaf faida kaamiyabi hai, iska yaqeen hamare dil me aa jaaye, aur saari duniya ke asbaab aur wasaa’il me huzoor ﷺ ke mubarak tareeke ke bagair na kaamiyabi hai.
Iska yaqeen hamare dil me aa jaaye, imaan ki ahmiyat ye hai ki
Ek Hadees-e-Paak ka mafhoom hai ke Allah taala ki azmat ko apne dil me bithaayi wo tumhe baksh denge.
Aur ek Hadees-e-Paak ka mafhoom hai ke khataao ke bête jaao aur logon me ye elaan kar do ke jannat me sirf imaan waale hi daakhil honge.
Aur ek Hadees-e-Paak ka mafhoom hai ke jo shakhs us kalme ko qubool kare jise ki maine apne chacha Abu Taalib ke inteqaal ke waqt pesh kiya tha unhone usse radd kar diya tha, woh kalima us shakhs ke liye najat ka zariya hai.
Kalme ki haqeeqat ko haasil karne ke liye teen laayino ki mehnat hai.
- Kalme ka maqsad kya, aur uski ahmiyat, uski fazilat, ko dawat ke zariye apne dil me haasil karne ki niyyat se apne bhaiyo ko samjhaana hai, doosra apni zaat se tanhaayi me baith kar sochna jiski dawat di thi.
- Kalme me do baatein hai – Nafi yaani makhlooq se hone ka inkaar, is baat yaani Allah ki zaat wa seefat se hone ka iqraar, is tarah se sabko sikhana hai, ke hum makhlooq par raheto bhi makhlooq se andar me nufa nuksaan nazar aata hai, isliye fawran dil ko zabaan se makhlooq se hone ka inkaar karna hai, aur Allah ki zaat wa seefat se hone ka iqraar karna hai.
- Dua ke zariye imaan ki haqeeqat ko aur imaan ki salaamati ko aur kaamil imaan par khatme ko ro-ro kar Allah se maangna hai, agar rona na aaye to rone waalo ki si surat banana hai, isliye ke asal etebaar khatme ka hai.
2) Namaz
Dusri sifat hai namaz. Imaan ke baad sabse bada hukum hai namaz
Namaz ka maqsad hai ke hamaari chobis ghante waali zindagi me namaz waali sifat aa jaye, yaani jis tarah hum namaz me niyyat baandhne se lekar salaam phirne tak apne aap ko apne ikhtiyaar se Allah ke hukum ke mutaabiq aur huzoor ﷺ ke tareeke ke mutaabiq zaahir ke itibaar se aur baatin ke itibaar se istemaal karte hai, usi tarah zindagi ke har amal me aur har kaam me apne aap ko apne ikhtiyaar se Allah ke hukum ke mutaabiq aur huzoor ﷺ ke tareeke ke mutaabiq zaahir ke itibaar se aur baatin ke itibaar se islaah karne waale ban jayein.
Namaz ki ahmiyat me ek Hadees-e-Paak ka mafhoom hai namaz ka darja deen me aisa hai jaise insaan ke badan me sar ka darja.
Ek aur Hadees-e-Paak ka mafhoom hai jo shakhs namaz padhne ko zaroori samjhega wo jannat me daakhil hoga.
Namaz ki haqeeqat ko haasil karne ke liye teen laayino ki mehnat karna hai.
- Namaz ka maqsad aur uski ahmiyat ko aur fazilat ko dawat ke zariye apne dil me haasil karne ki niyyat se apne bhaiyo ko samjhaana hai.
- Namaz me do cheezein hai, ek namaz ka zaahir hai, aur ek namaz ka baatin hai, namaz ke zaahir me namaz ke arkaan hai, qayam hai, ruku hai, sajda hai, qaida hai inko motabar ulama se amali taur par seekhna hai aur namaz ka ajarkaar hai, Qur’an-e-Paak hai, tasbeehat hai, Atahiyaat hai, dua-e-Qunoot, waghaira, waghaira, inko sahi jaanne waalon se sahi taur par sikhna hai, aur hamaari namaz huzoor ﷺ ke tareeke par ho isiliye kaamil wuzu bhi naamwar ulama se.Amali taur par sikhna hai, aur namaz ke masail ko bhi sikhana hai, jaise namaz ke masail me namaz ke faraiz, waajibaat, sunan, mustahibaat, makroohaat inko bhi ulama-e-kiraam se puch-puch kar sikhana hai, ye namaz ka zaahir hai, aur namaz ka baatin Allah ka dhyan hai, Allah ke dhyan ko namaz me jamaane ki mashq karni hai, is dhyan se namaz padhna hai, ke me Allah ke saamne khada hu, aur me Allah ko dekh raha hu, ye darja haasil na ho, to is dhyan se namaz pade ke Allah ke saamne khada hu, Allah mujhe dekh rahe hai, teesra koi darja nahi hai, namaz ke har rukn me qayam me, ruku me, sajde me, qaide me teen-teen martaba ye dhyan jamaana hai, ke Allah mujhe dekh rahe hai, dhyan mere ikhtiyaari cheez hai, dhyan chala jayega dhyan ka jana guna nahi hai dhyan ko lana aur usko jamaana hi hamaari zimmedaari hai, jab ye dhyan se namaz diji jaayegi to hume isi tarah dhyan jamaane ki mehnat, koshish, aur mashq karni hai to Allah taala ek na ek din kaamil dhyan waali namaz padhne ki taufeeq ata farmaayenge, jo insaan ki hamaari namaz kaamil ban jaayegi usi din saare masle hal ho jayenge InshaAllah.
- Dua ke zariye Allah Taala se namaz ki haqeeqat ko maangna hai.
3) Ilm aur Zikr
Tisri sifat hai ilm aur zikr
Namaz ko sikhne ke liye ilm ka hona zaruri hai.
Bagair ilm ke na hum Allah ko pehchaan sakte hai, na namaz ko sikh sakte hai, ilm ka maqsad ye hai ki hamaare andar tehqiqat ka jazba aa jaye, yaani har amal karne se pehle, aur har kaam karne se pehle, hume sabse pehle ye maloom karna hai, Allah ka hukum kya hai, aur huzoor ﷺ ka tareeka kya hai.
Ek hadees-e-paak ka mafhoom hai ki tum me sabse behtar shakhs wo hai jo Quran shareef sikhe aur sikhaye.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai ki Allah taala jis bande ke saath bhalai ka iraada farmaate hai to usko apne deen ki samajh ata farmaate hai, aur sahi daleel uske dil me daal dete hai.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai ki momin kabhi ilm se (yaani) ilm se ser nahi hota, wo ilm ki baatein sun-sun kar sikhta rehta hai, yaha tak ki uski maut aa jaati hai aur wo ridhwan jannat me daakhil ho jaata hai.
- Ilm ki haqeeqat ko hamaare andar haasil karne ke liye teen line ki mehnat karna hai.
- Rozana ehtemaam ke saath aur aadaab ki riayat ke saath aur mujaahide ki sifat ke saath fazaail ki taleem ke halqe me baithna hai, dhyan aur tawajjo se sunna hai, ajz-o-inqisaari aur mohabbat ke saath sunna hai, dil se tasdeeq karna hai, ki Allah ki baat Allah ke nabi ki baat haqq hai, is tarah se sunne se hamaare andar amal ka shauq paida hoga, amal ka jazba banega, amal ka zehan banega aur bante bante amal se hone ka yaqeen ban jayega, yaqeen ban jaane ke baad moqarrar ulama ki khidmat me haazir hokar amal ka sahi tareeka amali taur par sikhna hai, aur uske mutabiq amal karna hai.
- Dua ke zariye ilm ki haqeeqat ko aur nafa dene wale ilm ko Allah se maangna hai.
4) Ikram e Muslim
Chauthi sifat ikraame musalman
Ikraame musalman ka maqsad hai ki hamaare aapas me jod paida ho jaye.
Ek hadees-e-paak ka mafhoom hai, huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya jo shakhs salaam karne me pehel kare wo takabbur se bari hai.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya salaam ko khoob felaao taake tum buland kiya jaao.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai, Rasulullah ﷺ ne Baitullah ko dekhkar tawajjo se farmaaya: “Ae Baitullah! Tu kitni qadr paakiza hai, aur teri khushbu kitni qadr umda hai, aur tu kitna qabile ehteraam hai, magar momin ki izzat aur ehteraam tujhse zyada hai.” Allah ne tujhe kaafi qabile ehteraam banaya hai, is tarah momin ki izzat aur khoon ki aur maal ki qabile ehteraam banaya hai, aur is ehteraam ki wajah se Allah taala ne is baat ko haraam qaraar diya hai, ki hum kisi momin ke baare me zara bhi badgumaani karein.
- Ikraame musalman ki haqeeqat ko haasil karne ke liye teen line ki mehnat karna hai.
- Ikraame musalman ke maqsad ko, iski ahmiyat ko, fazilat ki dawat ke zariye apne dil me haasil karne ki niyyat se apne bhaiyon ko samjhaana hai.
- Apni zaat se har imaan wale ko izzat ki nigaah se dekhna hai, aur uska ikraam karna hai, aur ehteraam karna hai, aur gair imaan wale ke saath acche akhlaaq baratna hai, aur baaqi Allah ki makhlooq ke saath accha sulook karna hai, aur jin ke huqooq hamaare zimmedaari me maaloom karte adaa karna hai.
- Dua ke zariye Allah taala se ikraame musalman ki haqeeqat ko aur taufeeq maangna hai.
5) Ikhlasi Niyat
Paanchvi sifat – ikhlaase niyyat
Ikhlaase niyyat ka maqsad hai, hamaare andar lillahiayat ka jazba aa jaye, yaani hum jo bhi nek amal ya nek kaam karein, Allah Ta’ala ko raazi karne ke jazbe se karne waale ban jayein. Huzoor Paak ﷺ ne farmaaya ikhlaas waalon ke liye khushhaali ho, unki wajah se sakht se sakht fitne door ho jaate hain.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai, ek shakhs ne pukaar kar pucha ya Rasulullah imaan kya hai? Huzoor ﷺ ne farmaaya imaan ikhlaas hai.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai, Allah Ta’ala usi amal ko qubool farmaate hain, jo Allah ko raazi karne ki niyyat se kiya gaya ho.
- Ikhlaas ko haasil karne ke liye teen line ki mehnat karni hai.
- Ikhlaas ke maqsad ko uski ahmiyat ko aur fazilat ko dawat ke zariye apne dil me haasil karne ki niyyat se apne bhaiyon ko samjhaana hai.
- Har nek amal ya kaam nek karne se pehle Allah ko raazi karne ki niyyat banaani hai, aur darmiyaan me aur aakhir me apni niyyat ko dekhna hai, aur dil se poochhna hai, kyon kar raha hoon, agar dil me Allah hai, to Allah ka shukr ada karna hai aur agar Allah ke liye nahi to tauba istighfaar karna hai, aur apni niyyat ko sahi karna hai.
- Dua ke zariye Allah se ikhlaase amal karne ki taufeeq maangni hai.
6. Daawat -E- iLLallah
Chhathi sifat hai dawat-e-illallah
Dawat-e-illallah ka maqsad hai ki hamaari jaan aur maal ka istemaal sahi ho jaye, aur hum jaan aur maal ki galat fahmi se aur dhoke se nikal jayein.
Ek hadees-e-paak ka mafhoom hai Allah ke raaste me thodi der khada rehna shabe qadr me hamaare abdad ke saamne raat bhar ibadat karne se behtar hai.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai, Allah ke raaste ka ek din uske alawa ke hazaar dino se afzal hai.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai farmaaya, ek subah ya ek shaam Allah ke raaste me nikalna duniya aur duniya me jo kuch bhi ba-itaabar cheezo ki aur ba-itaabar amaal ke sabse afzal hai.
- Dawat-e-illallah ki haqeeqat ko haasil karne ke liye teen line ki mehnat karni hai.
- Dawat-e-illallah ke maqsad, ko aur uski ahmiyat ko, aur uski fazilat ko dawat ke zariye apne dil me haasil karne ki niyyat se apne bhaiyon ko samjhaana hai.
- Apni jaan se apne aapko apne mashware me se poori zindagi me ek martaba jald se jald chaar mahine ke liye faariq karke Allah ke raaste me nikalna hai, aur Allah himmat de aur taufeeq de to har saal chaar mahine nikalna hai, warna kam az kam saalana kamri mahine ke itbaar se ek chilla Allah ke raaste me nikalna hai, aur makaan par rahte hue makami paanch amaal ki paabandhi ke saath apne mashware me rehna hai, aur mahine ke teen din lagana hai, aur in amaalon ka har ghar me zinda karne ki fikr karna hai.
- Dua ke zariye Allah Ta’ala se is tareeqa par jam kar mehnat karne ki taufeeq maangni hai.
Aur parhez ke taur par laayani se bachna
Allah ke raaste me nikal kar laayani se bachne ka matlab yeh hai, jin shaklon ko chhod kar hum nikalte hain, aur jin taalluqaat ko chhod kar hum nikalte hain unka tafakkur zubaan par lana, na sochna, khayaal me aajaye to foran istighfar karna hai.
Ek hadees-e-paak ka mafhoom hai banda jab tak apni zubaan ki hifazat na kar le imaan ki haqeeqat ko nahi pahuncha sakta.
Ek aur hadees-e-paak ka mafhoom hai, aadmi ki nek bachat ya bad bachat uske lene waale jabaan ka darmiyaan me hai (yaani) zubaan ka sahi istemaal nek bachat hai, aur galat istemaal bad bachat ka zariya hai, aadmi ke islaah ki khoobi aur kamaal yeh hai ki, woh fuzool kaami aur fuzool baaton ko chhod de.
- Laayani se bachne ke liye teen line ki mehnat karni hai.
- Laayani se bachne ke maqsad ko aur ehmiyat ko aur uski fazilat ko dawat ke zariye apne dil me haasil karne ki niyyat se apne bhaiyon ko samjhaana hai.
- Apni zaat se laayani se bachna hai.
- Dua ke zariye laayani se bachne ki taufeeq ko maangna hai.