Is Page Par aapko Har Sawal Ka Jawab Milega ( 300+ Questions) inshallah, Ye Page par Daily Question’s Update Bhi Honge. Agar Apko New Question Yaad aaye Or Any Query ho toh aap Arman – 9373705050 (Haj Trainer HCOI Official) pe Whatspp Kar sakte hai.
Hajj Committee of India Guidelines
Daily Asked Questions of Haji’s Now a Days
- 3rd Installment Copy – Hcoi Copy -Aapko NAHI Bhejna hai. Apne pass hi Rakhna hai.
- Visa & Flight Details – 29 April se 1st Flight Hai (All India) – 8-10 Din Pehle Aapko Apni Flight Details Website Pe Milengi.
- Passport and Hajj Kit – 18-20hrs Pehle Milega – Hajj House Pe.
- Qurbani – Yes to no or No to Yes karna hai toh – Mail Karo – [email protected] , [email protected]
- Haj Committee e-mail addresses –
[email protected] – CEO
[email protected] Technical support
[email protected] – first and last flight
[email protected] – account department - Contact No.
022 – 22717100
022 – 22717101
022 – 22717102
022 – 22620920
022 — 22630461 - HAJJ SUVIDHA- HCOI APP Official – https://play.google.com/store/apps/details?id=com.bisagn.hajsuvidha
- NUSUK – For Riyazul Jannah Booking – https://play.google.com/store/apps/details?id=com.moh.nusukapp
- IMO – For call –https://play.google.com/store/apps/details?id=com.imo.android.imoim
- HAJJ Cell -For all locations- https://play.google.com/store/apps/details?id=com.kmcc.hajj
Forward this to Hajj Groups & Broadcast Channels.. – Pin This MSg in ur Groups
1. Hajj ke liye registration ka process kya hai?
Hajj ke liye registration process Hajj Committee of India (HCoI) ke madhyam se hota hai:
- Online registration: Hajj Committee ki official website hajcommittee.gov.in par jaakar online form bharna hota hai.
- Documents: Passport, adhar card , bank passbook aur recent passport-size photo upload karni hoti hai.
- blood group aur nominee details malum hona chahiye
3. Hajj application ke liye kaunse documents zaruri hain?
Hajj application form ke saath ye documents submit karne hote hain:
- Valid Indian Passport (JAN 2026 tak valid ho)
- Aadhar Card
- Recent passport-size photograph
- COVID-19 Vaccination Certificate
- Bank account details (for refund or payment purposes)
4. Hajj ke liye vaccination mandatory hai kya?
Haan, vaccination mandatory hai.
- Saudi Arabia ke guidelines ke mutabik:
- Meningococcal vaccine bhi lagwana hota hai.
5. Mehram ki shartein kya hain?
- Mehram: Aurton ke liye Mehram ka saath hona lazmi hai.
- Mehram me:
- Shohar (husband)
- Baap (father)
- Bhai (brother)
- Beta (son)
- Mama, Chacha ya Phupha
- Mehram ke bagair aurton ko Hajj ki ijaazat nahi hai.
6. Hajj par kitna kharcha aata hai?
Hajj ka estimated kharcha circular ke mutabik:
- Approximate cost: ₹3,20,000 to ₹4,00,000 (per person) – Airport WISE
- Isme shaamil hota hai:
- Flight tickets
- Visa charges
- Makkah aur Madinah mein rehne ka kharcha
- local transport
- Medical insurance
7. Hajj ke liye flight ka schedule kaise milta hai?
- Hajj Committee aapko flight ka schedule bhejti hai.
- Flight details aapko:
- SMS ya Email ke zariye milti hain.
- Website par bhi flight schedule upload hota hai.
- Departure aur return flight ke fixed date hoti hai.
8. Flight ke dauraan BAG / luggage ka kitna wajan allowed hota hai?
- Checked-in luggage: 40 kg tak allowed hota hai. ( BAG 1 – 20KG , BAG -2 – 20KG)
- LUGGAGE BAG SIRF 2 HI ALLOWED HAI. (PER PERSON)
- Hand luggage: 7 kg allowed hota hai.
- TOTAL 3 BAGS – 2 LUGGAGE BAGS – 40KGS AND 1 HAND CARRY/ CABIN BAG – 7 KGS
- METAL BAGS,Thaila, Smart BAGS – NOT Allowed
- Zamzam water: NOT Allowed to Take in Luggage Bags. India ke Airport pe har Haji ko 5 Liter Diya jayega.
9. Hajj par jaate waqt aurton ke liye pardah ka kya niyam hai?
- Hajj ke dauraan aurton ko pardah karna hota hai.
- Ihram mein chehra dhakna mana hai, lekin hijab pehna zaruri hai.
- Gilaaf ya mask pehn sakti hain jo chehre ko touch na kare.
10. Jedddah or Madina Airport se sim le sakte hai?
Nahi lena hai. Aap sim apne hotel ke pass wale shop se le sakte hai aur use activate bhi karna hai check karna hai balance. 1 visa pe 2 sim milte hai .
● MOBILY
1.To Balance Check – *1411#
2.To Data & On-net Minutes Check – *1411*1#
To Check Mob. No. – *222#
● ZAIN
1.Balance Check – *142#
2.Data & On-net Minutes Check – Send bc to 959
● STC/SAWA
1.Balance Check – *166#
To Check Mob. No. – *150# > press 2 to select the English language
Data Check – Send 8888 to 900
11. Hajj ke liye kaunsa visa lagta hai?
- Hajj Visa lagta hai jo sirf Hajj ke dauraan hi valid hota hai.
- Tourist visa ya visit visa par Hajj NAHI kar sakte hai.
- Hajj visa ka period 3 months ka hota hai.
12. Hajj ke dauraan medical facility ka kya intezaam hota hai?
- Hajj Committee aur Saudi authorities medical camps lagati hain.
- Free medical checkup diya jata hai.
- Emergency services: Hajj camps mein doctors available hote hain.
- Insurance coverage: Har Haji ka insurance hota hai, jo treatment ka kharcha uthata hai.
15. Hajj par Saudi Arabia ki currency le jaana zaruri hai?
Haan, Saudi Arabia mein:
- Currency: Saudi Riyal (SAR) chalta hai.
- Currency exchange Shops se ya Saudi banks se bhi ho sakti hai.
- Credit card ya debit card bhi chalti hai.
- Forex card bhi chalta hai behtar hai
16. Hajj ke dauraan group leader ka kya role hota hai?
- Group Leader ka kaam:
- Guide karna: Hajj ke arkaan batana.
- Coordination: Flight aur stay arrange karwana.
- Emergency mein madad: Medical ya lost cases mein madad karna.
- Hotel aur travelling ke adjustments karwana.
- Riyazul janna me slot allot kar ke dena
17. Hajj ke dauraan raat ko bahar jaana allowed hai?
Haan, lekin:
- Group se alag mat hoiye.
- Mina, Arafat aur Muzdalifah mein waqt par laut aana zaruri hai.
- Hajj camps ke rules ka paalan karein.
18. Hajj return flight ke dauraan kya process hota hai?
- Return flight: Hajj khatam hone ke baad fixed date par hoti hai.
- Airport check-in: Aapko wahan passport aur boarding pass dikhani hoti hai.
- Zamzam paani: Ek musafir ko 5 liter Zamzam le jaane ki ijaazat hoti hai.
19. Baggage aur transportation ke kya niyam hain?
- Baggage Rules: Airlines building se baggage 36-48 ghante pehle le leti hain (Makkah mein), aur 16 ghante pehle (Madinah mein).
- Zamzam: Liquid items allow nahi hote luggage mein, lekin India pahunchne par 5-liter Zamzam diya jata hai.
- Transportation:
- 600+ buses Hajis ko Makkah aur Madinah mein commute karne ke liye available hoti hain.
- Train tickets diye jate hain Jamarat, Mina, aur Arafat ke safar ke liye.
20. Makkah aur Madinah mein accommodation kaise hoti hai?
- Makkah:
- Aziziya / Naseem ye 2 jagah me Rakhte hai . 486 buildings aur 140,000 accommodation units available hain.
- Aziziya me male aur females ke liye alag rooms hai hajj 2025. Moallima band, Bus Stand i-card, Nusuk Card, Metro station band ye sab aapko Aziziya me Diya jayega .
- 1 kitchen -gas cylinder with fridge for 30 people. Hotels, Masjid aur Kirana store Nazdik hota hai.
- 1 combine western toilet with bathroom aur 1 indian bathroom 2 room (10 people) wale ke liye hota hai.
- Wifi & Washing machine ye Building Wale taraf se hoti hai. kuch moallim proivde karte hai kuch log nahi karte.
- Madinah:
- Pilgrims ka zyada tar stay Markazia area mein hota hai.
- Hotels mein cooking allowed nahi hoti. (Electric cooker aap leke jaa sakte hai). Aapko Khana bahar ke hotels me khana padta hai.
- Nusuk Card aur Id card Dekh ke Room Allotment Kiya jata hai.
21. Haj Terminal par immigration process kaise hota hai?
- Pilgrims ka immigration Saudi Airport par hota hai.
- Passport, visa, aur fingerprint verification hoti hai.
22. Haj mein Nusuk Card ka kya mahatva hai?
- Nusuk Card ek unique ID card hota hai jo Saudi authorities dwara diya jata hai.
- Is card se pilgrims ki pehchaan hoti hai aur facilities ka access milta hai.
- Hamesha card ko saath rakhna zaroori hai.
- Download Nususk App – usme bhi Hajj visa dikhta hai aur ye app se aap Riyazul Jannah me jane ke liye booking karne istemal kia jata hai.
- NUSUK card ek pehchaan patra hota hai jo Saudi authorities dwara diya jata hai. Ismein pilgrim ka naam, ID number, aur details hoti hain jo Haj ke dauraan unki pehchaan ke liye hoti hai.
23. Mina, Arafat aur Muzdalifah kaise pahunchte hain?
- Mina: Pilgrims ko 7 Zul Hijjah ki shaam or 8 Zil Hijj ke Subah bus se Mina le jaya jata hai.
- Arafat: 9 Zul Hijjah ko pilgrims Dhuhr tak Arafat pahunchte hain aur Maghrib tak wahaan rukte hain.[By Walking / By Bus / by Metro]
- Muzdalifah: Maghrib ke baad pilgrims Muzdalifah jate hain jahaan wo Magrib aur Isha ki Namaz 1 sath Padthe hai, raat guzaarte hain aur wahan se Jamarat ke liye chhoti paththar (Stones) collect karte hain.[By Walking / By Bus / by Metro]
24. Jamarat par Rami (stoning) kaise hoti hai?
- 10, 11, aur 12 Zul Hijjah ko Rami kiya jata hai.
- Rami ke dauraan pebbles se shaitaan ke pratiq (symbolic) pillars par paththar pheke jate hain.
- Bheed zyada hoti hai, isliye pilgrims ko group mein chalne ki salah di jati hai.
25. Haj ke baad Makkah se wapas return process kaise hota hai?
- Pilgrims 12 Zul Hijjah ko Mina se Makkah return hote hain.
- Buses se return hota hai, lekin heavy crowd hone par kai log paidal wapas aate hain or By private Taxi se bhi Aap Aziziya / Nasim Jaa sakte hai.
26. Saudi Arabia mein healthcare facilities kaise hain Haj pilgrims ke liye?
- Saudi Arabia mein referral hospitals, medical centres, dispensaries, aur emergency services mojud hain. Critical cases ka free treatment hota hai.
27. Jeddah Airport se Makkah kaise pahuncha ja sakta hai?
Jeddah Airport se Harmain High Speed Rail se Makkah pahuncha ja sakta hai. Yeh naya option 26 May 2024 se launch hua hai.
26. Haj ke dauraan kin baaton ka dhyaan rakhna chahiye?
- Hamesha Nusuk card aur ID card saath rakhein.
- Cleanliness, Hygiene & Discipline maintain karein.
- Shade mein rahein aur pani peete rahein.
Don’ts:
- Dharna ya nara lagana mana hai.
- Bheed mein alag na ho jayein.
- Police aur saudi Hukumat ke rules follow karna aur unke advices.
- Zayada Cash sath me na le jayein.
- Illegal items ya large baggage na le jayein.
27. India ne Haj pilgrims ke liye Makkah aur Madina mein kya medical facilities provide ki hain?
- Makkah:
- 40 & 30 bedded medical centres (including female-only facilities).
- 15 dispensaries.
- Ambulance services (17 licensed ambulances).
- Madina:
- 20 bedded medical centre aur 3 dispensaries.
2. Emergency medical help kaise milegi?
- 24×7 command & control centre hai. Pilgrims ambulance ya nearest medical centre se help le sakte hain.
3. Agar kisi pilgrim ko serious health issue ho, toh kya hoga?
- Unhe Saudi government hospitals mein refer kiya jayega, jahan free treatment diya jayega.
28. Health Tips & Prevention for Haji
1. Heat exhaustion aur heatstroke se kaise bacha ja sake?
- Direct sunlight se bachein.
- Adequate fluids (pani, electrolytes) piyein.
- Light-colored kapde aur umbrella use karein.
- Agar kisi ko heatstroke ho, use shade mein le jayein, body ko cool karein, aur emergency services call karein.
2. Crowded areas mein infections se kaise bacha ja sake?
- Mask pehnein.
- Haath regular soap se dhoyein (khaane se pehle, washroom ke baad, coughing/sneezing ke baad).
- Personal hygiene maintain karein.
3. Food poisoning se kaise bacha ja sake?
- Fresh aur properly cooked khana khayein.
- Packaged food ki expiry date check karein.
- Street food avoid karein.
4. Dehydration ke symptoms kya hain?
- Severe thirst, dark yellow urine, dry mouth, fatigue, aur kam urine aana.
29. First Aid & Emergencies for Haji
1. Ankle sprain ho toh kya karein?
- Rest karein, ice pack lagayein, compression bandage use karein, aur pain relievers le sakte hain (doctor ke advice se).
2. Ladies menstrual hygiene ka dhyaan kaise rakhein?
- Sanitary pads aur menstrual caps carry karein.
- Gynaecologist se consult karke medicines le sakte hain agar periods delay karne ki zaroorat ho.
3. Skin irritation (rashes) ho toh kya karein?
- Affected area ko clean rakhein, baby powder use karein, aur cotton ke kapde pehnein.
30 . Kya Haj pilgrims ko medical card carry karna chahiye?
- Haan, NIC health card carry karein taaki OPD, pharmacy, aur emergency services easily access kiye ja sakein.
31. Mina mein rukne ka kya schedule hota hai?
Pilgrims 7th Zul Hijja ki shaam ko Mina ke liye rawana hote hain. 8th Zul Hijja ko pura din Mina mein guzarte hain, wahan basic facilities milti hain jaise khana, lekin sanitation facilities limited hoti hain.
32. Haj ke dauraan hydration ka khayal kaise rakhein?
Pilgrims ko haj ke dauraan zyada paani peene ki salah di jati hai, taake dehydration na ho. Umbrella ka istemal bhi karen.
33. Haj ke dauraan rasta bhoolne par kya karen?
Agar pilgrim rasta bhool jaye to use nearest pole number ya street number yaad rakhna chahiye. Indian officials ya volunteers ki madad leni chahiye.
34. Mina mein accommodation ka kya system hota hai?
Mina mein tents diye jate hain jisme pole number aur street number likha hota hai. Ye locate karne mein madad karta hai. Tent me Jane ke baad apne ghar walo ko Whatsapp par Location send kare aur i-card ke piche 2 Mobile no likhen.
35. Haj mein transport kaise hota hai?
Transport buses ya trains se hota hai. Buses ke timings building mein & Whatsaapp Group me notify ki jati hain.
36. Haj ke dauraan emergency help ke liye kahan contact karein?
Pilgrims ko Indian officials, CGI staff ya Haj Assistants se madad leni chahiye.
37. Haj ke dauraan foreign exchange limit kitni hoti hai?
Cash 11,000 Riyal leke jaa sakte hai.
RBI ke guidelines ke mutabik Haj pilgrims ko USD 250,000 tak foreign exchange carry karne ki ijaazat hoti hai.
38. Banned items kaun se hain?
Raw/cooked food, weapons, intoxicants, inflammable items, political material, pornographic content, etc., allowed nahi hain.
39. Flight mein kya precautions leni chahiye?
Seatbelt lagayein, WC kam use karein, aisle mein namaz na padhein, aur crew ke saath polite rahein.
40. India wapas aane se pehle kya karein?
Baggage 18 hours pehle check-in karein. Zamzam bottles luggage mein na rakhein.
41. Customs clearance ke dauraan kin baaton ka dhyan rakhna chahiye?
- High-value purchases declare karni chahiye
- Gold/silver par koi duty-free allowance nahi hoti
- Drones ya remote-controlled toys allowed nahi hai
42. Riyazul Jannah ka permit kaise lein?
- Nusuk app download karein
- Account banayein
- Visit book karein
- Masjid-e-Nabawi pahunchne se 30 minute pehle wahan pahuchein
43. Flight allocation kaise hota hai?
Pilgrims ko unke district aur adjacent district ke logon ke saath ek hi flight mein rakha jaata hai. Flight details SMS/WhatsApp ya HCoI website par di jaati hai.
44. Kya Haj ka safar sirf physically fit log kar sakte hain?
Haan, Haj sirf physically fit logon ke liye hai. Do baar medical screening hoti hai – ek application stage par aur doosra embarkation se pehle.
45. Haji ko kitne pasie Sath me lekar jana hai
2500-3500 Riyal Kafi hai 1 Haji ke liye.Maximum 11000 Riyal cash Limit & 250000 USD Dollars hai.
HAJ SUVIDHA
1. HAJ SUVIDHA application kya hai?
HAJ SUVIDHA ek mobile application hai jo pilgrims ke liye travel management, grievances, navigation, health services, aur emergency support jaisi suvidhaayein deti hai.
2. HAJ SUVIDHA 2.0 mein kaunsi naye features hai?
HAJ SUVIDHA 2.0 mein naye features hai:
- Payment facilities
- Flight services (boarding pass, visa, etc.)
- Medical reports
- AI-powered chatbot
- Medical history tracking
- Weather advisory and broadcasting
3. HAJ SUVIDHA app se pilgrims ko kya fayda hota hai?
Pilgrims app se:
- Real-time weather updates dekh sakte hai.
- Luggage track kar sakte hai.
- Medical aur SOS support le sakte hai.
- Accommodation aur transport ki details dekh sakte hai.
4. HAJ SUVIDHA ka login process kya hai?
Login ke liye:
- M-PIN ya OTP ka use karke login kiya jata hai.
- Successful login ke baad Pilgrim Dashboard show hota hai.
5. HAJ SUVIDHA mein weather info kaise milti hai?
Weather info mein:
- Daily weather report
- Next week ka forecast
- Hourly temperature, humidity aur rain probability show hota hai.
6. HAJ SUVIDHA mein grievance raise kaise karein?
Pilgrims apni shikayatein raise kar sakte hai under categories:
- Accommodation issues
- Health and medical help
- Lost & found baggage
- Transport issues
7. SOS feature ka kya use hai?
SOS feature se pilgrims emergency mein instant support maang sakte hai jaise:
- Missing person
- Medical emergency
- Voice recording aur video attach kar sakte hai.
8. HAJ SUVIDHA se luggage tracking kaise hota hai?
Pilgrims:
- 3 bags tak register kar sakte hai.
- QR code scan karke bag ka location track kar sakte hai.
- Lost luggage ko app se report kar sakte hai.
9. Luggage QR code scan karne ka kya fayda hai?
“Scan Any Luggage QR Code” feature se kisi bhi Indian Haji backpack ka QR scan karke owner details aur location track kar sakte hain.
- Luggage owner ka detail pata chalta hai.
- Location update hoti hai, jo tracking mein help karti hai.
10. Nearest facilities kaise find karein?
HAJ SUVIDHA app se pilgrims:
- Nearest bus stop
- Medical facilities
- Navigation option ke zariye location tak pahunch sakte hai.
11. HAJ SUVIDHA mein spiritual support kaise milta hai?
Dua module se pilgrims:
- Offline duas padh sakte hai.
- Spiritual literature access kar sakte hai.
- Bina internet ke bhi duas read kar sakte hai.
12. SOS activities ka kya use hai?
Pilgrims:
- Apni active SOS requests dekh sakte hai.
- Resolved SOS ko close kar sakte hai.
- Emergency management ke liye ye feature helpful hai.
13. Announcements feature ka kya kaam hai?
Announcements module se:
- General announcements
- Group-specific alerts
- Location-based notifications milti hai.
14. AI Chatbot kaise help karta hai?
“AI Chatbot” section mein jaakar apna sawaal type karein. Chatbot automated responses provide karega.
- Instant query resolution paate hai.
- 24/7 support milta hai.
- Authorized aur verified data se jawab milte hai.
15. Pilgrims ka profile manage karne ka option hai?
Haan, pilgrims My Profile section se:
- Apni personal details manage kar sakte hai.
- Language translation kar sakte hai.
- Co-ordinator info check kar sakte hai.
16. HAJ SUVIDHA se direct assistance kaise milega?
Pilgrims HAJ Support module se:
- Informational videos dekh sakte hai.
- Animated guidelines access kar sakte hai.
- Help desk details se contact kar sakte hai.
17. HAJ SUVIDHA ka use karne wale kitne pilgrims hai?
HAJ SUVIDHA 1.0 (2024) mein:
- 54,758 active users the.
HAJ SUVIDHA 2.0 (2025) mein naye pilgrims onboard kiye ja rahe hai.
18. HAJ SUVIDHA app mein translation ka option hai?
Haan, pilgrims Translate feature se:
- Apni bhasha mein content dekh sakte hai.
- Bhasha badalne ke liye navigation drawer se translate option select karte hai.
19. HAJ SUVIDHA se medical report kaise access karein?
Pilgrims Medical Reports module se:
- Apni health history check kar sakte hai.
- Reports download kar sakte hai.
20. HAJ SUVIDHA se payment facilities kaise use karein?
Pilgrims Payment module se:
- Visa aur documents download kar sakte hai.
- Flight confirmation kar sakte hai.
- Boarding pass access kar sakte hai.
21. State Haj Inspector (SHI) ka pata kaise lagega?
App ke “Know Your State Haj Inspector” section mein SHI ka naam, photo, mobile number, aur location details available hain.
22. Emergency contact numbers app mein kahan milege?
“Nearest Facilities” section mein emergency helpline numbers aur CGI-approved hospitals ke contacts available hain.
23. Pilgrims apne Haj group ka details kaise check karein?
“Know Your State Haj Inspector” section mein group details, assigned coordinator, aur contact information available hai.
24. Pilgrims apna accommodation details kaise check karein?
“Accommodation Details” section mein Makkah, Madina, aur Mina ke stay arrangements ka complete information available hai.
IMP POINTS of HAJJ
Wo Ghaltiyaan Jo Hajj Ke Dauran Karne Se (Qurbani) Wajib Ho Jata Hai
- Afaaki (Meeqat se baahar rehne waale) ka badee ihram ke meeqat se guzar jaana.
- Ghusl-e-Arafaat se pehle hudood-e-Arafaat se nikal jaana.
- Wuquf-e-Muzdalifah ka tark kar dena. (Tilawat)
- Ek din ki Rami (Kankariyaan) ko dusre din tak moakhir karna. (Shaami – Muqtaar)
- Ek din ya teen dinon ki Rami (Kankariyaan) ko tark kar dena. (Shaami – Muqtaar)
- Sar ke baalon ka halq ya qasr na karna. (Shaami)
- Hudood-e-Haram se baahar ya Qurbani ke dino ke alawa yaani 10, 11, 12 tareek ke baad halq ya qasr karna. (Durre Muqtaar)
- Dusre qiraan aur tamattu karne waalon ka qurbani na karna. (Shaami – Muqtaar)
- Tawaf-e-Ziyarat baqaya chakkar ka nakis kar dena ya raml aur iztibaa ki haalat mein karne par, 9 gay ya 3 unt ki qurbani wajib ho jaayegi.
- Barhana (nanga) hokar tawaf karna. (Durre Muqtaar)
- Tawaf-e-Ziyarat mein paidal chalne ki qudrat hone ke bawajood sawaari par tawaf karna. (Shaami)
- Tawaf-e-Ziyarat ka Hateem ke andar se karna. (Durre Muqtaar)
- Tawaf-e-Ziyarat mein Sai ka tark kar dena. (Durre Muqtaar)
- Tawaf-e-Ziyarat ka (Ayyam-e-Nahr) yaani Qurbani ke dino ke alawa 10, 11, 12 tareek ke baad karna. (Durre Muqtaar)
- Masra Marwah ki Sai baghair uzr ke sawaari par karna. (Durre Muqtaar)
- Zuhr Tawaf ki Sai karna. (Durre Muqtaar)
- (Afaaki) Meeqat se baahar rehne waale ka Tawaf-e-Wida kiye baghair apne watan laut jaana. (Muabbisul Junna)
Tawaf FAQs
Tawaf Ke Ahkam
- Paak aur ba wuzu hona.
- Satar ka dhaka hua hona.
- Tawaf ki niyyat karna.
- Dono haath kandhe tak uthakar “Allahu Akbar” kehna aur Hajr-e-Aswad ka isteelaam karna.
- Tawaf Hajr-e-Aswad ke kone se shuru karna.
- Tawaf aage jaankar jaaneewise karna.
- Iztibaa karna (seedha kandha khula rakhna).
- Pehle 3 chakkaron me mardon ke liye raml (akarkar chalna).
- Tawaf ke dauraan teesra kalma ya duayein padhna.
- Hateem ke baahar se tawaf karna.
- Kone Yamani se Hajr-e-Aswad tak rukna aur Aayat-e-Qurani padhna.
- Har chakkar ke khatam par Hajr-e-Aswad ka isteelaam karna.
- 7 chakkar poore karna.
- Tawaf paidal karna.
- 2 rakaat namaz-e-tawaf ada karna.
- Zamzam peena.
Wo Cheezein Jo Tawaf Ke Dauran Makrooh Aur Mana Hain
- Napaak kapdon mein tawaf karna.
- Hajr-e-Aswad ke saamne aaye bagair haath uthana.
- Tawaf ki niyyat ke baad dono haath bila takbeer uthana.
- Hajr-e-Aswad par pahunchne ki koshish mein dhakka dena.
- Door se haath uthakar Rukn-e-Yamani ki taraf ishaara karna.
- Zikr ya dua buland awaaz se padhna.
- Fuzool aur duniyaawi baatein karna.
- Tawaf ki haalat mein dua ke liye haath uthana ya namaz ki tarah haath baandhna.
- Dono haathon se tawaf ke dauraan dua ke liye chehra ponchna.
- Dono haathon se Baitullah ki taraf seena ya peeth karna.
- Tawaf ke chakkaron mein zyada fasaad karna yani waqf karna.
- Kisi amal ke kaam mein mashgool hona.
- Peshab ya paishaab ke taqazo ki wajah se tawaf karna.
- Bila uzr jute pehenkar tawaf karna.
Tawaf Ki Niyat Kaise KAre.
Ya Allah Mai tawaf ki Niyat Karta hu Mujhe tawaf karna Aasan Farma aur Qabul Farma. Dil Se Niyat Hona Zaruri hai.
1. Tawaf kya hota hai?
Tawaf ek ibadat hai jo Kaaba Sharif ke gird ghoomne ko kehte hain. Isme musalman Kaaba ke 7 chakkar lagate hain, jo ibadat ka aham hissa hai. Tawaf ko anti-clockwise kiya jata hai. Tawaf Hajr-E-Aswad (Symbol – Green Light ) Se shuru kiya jata hai. Istelaam karna hai. Total 8 Istelaam hote hai. Itselaam Yani. Dono haato se Hajar al-Aswad ki taraf ishara karna hai aur dono kaat ki hateli ko chumna hai aur “bismillahi allahu akbar wa lillahil hamd” kehna hai. 7 chakkar kaaba ke lagane ke baad .. wajib Tawaf 2 Rakat Nafil Namaz Padhna hai aur Dua karna hai. Asar aur Magrib ke bichme nahi padhna hai aur Subah Tulu ke Waqt (Any Makhrur Waqt me nahi padhna ). magrib ke baad aap ye namaz padh sakte hai.
2. Tawaf ka maqsad kya hai?
Tawaf ka maqsad Allah ki ibadat aur uske samne apni bandagi ka izhar karna hai. Ye ek roohani amal hai jo Allah se qurbat ka zariya banta hai.
3. Tawaf ke kitne types hote hain?
Tawaf ke 5 types hote hain:
- Tawaf-ul-Qudoom: Hajj par pahunchne par kiya jata hai.
- Tawaf-ul-Ifadah: Hajj ka farz tawaf jo Arafat se wapas aane ke baad kiya jata hai.
- Tawaf-ul-Wida: Wida hone wala tawaf jo Hajj ke baad Rukhsat hone se pehle kiya jata hai.
- Tawaf-ul-Umrah: Umrah ke waqt kiya jata hai.
- Tawaf-ul-Tahiyyah: Haram Sharif mein dakhil hote hi kiya jata hai (Mustahab hai).
4. Tawaf karte waqt kya niyat hoti hai?
Tawaf ki niyat ke liye dil se irada kiya jata hai:
“Allahumma inni uridut tawaf fa yassirhu li wa taqabbalhu minni.”
(Ya Allah! Main Tawaf karne ka irada karta hoon, ise mere liye aasaan farma aur qubool farma.)
5. Tawaf karne ka tareeqa kya hai?
Tawaf karne ka tareeqa:
- Ihram pehna ho.(Labbaik Padhna aur Niyat karna ) – ye Sab Mikaat ke pehle karna.. Agar haram me hai toh Ayesha masjid ya koi bhi mikat me jaake ye karna hai.
- Pehli baar jaaye tab kaabe koKaaba ko dekh kar dua maangein.
- Hajr-e-Aswad Se Chakkar Shuru aur 7 chakkar udar hi Khatam karna .
- Pehle 3 chakkar me Ramala Karna yani Akad ke Chalna. (Mard ke liye Right Shoulder khula rakhna all 7 Chakkar )
- Har chakkar mein Rukn-e-Yamani se Har-e-Aswad Tak “Rabbana Aatina wali Dua karna “
- Maqam-e-Ibrahim par 2 rakat namaz padhein.
6. Tawaf mein kaunsi dua padhi jati hai?
Tawaf ke dauraan koi bhi dua padh sakte hain. Masnoon dua ye hai: #rd Kalma _
“SubhanAllah, Walhamdulillah, Wala ilaha illallah, Wallahu Akbar.”
(Allah ki tasbeeh hai, tamaam tareef Allah ke liye hai, Allah ke siwa koi ma’bud nahi, aur Allah sabse bada hai.)
7. Kya tawaf ke dauraan Hajr-e-Aswad ko chumna zaruri hai?
Nahi, Hajr-e-Aswad ko chumna zaruri nahi hai.
- Agar bheed ho to ishara karna bhi kafi hai.
- Ishara karte waqt “Bismillah, Allahu Akbar wa lillahil hamd” kehna chahiye.
8. Tawaf mein kitne chakkar lagane hote hain?
Tawaf mein 7 chakkar lagane hote hain, jo Kaaba ke anti-clockwise kiye jate hain.
9. Kya tawaf har waqt kiya ja sakta hai?
Haan, tawaf har waqt kiya ja sakta hai, lekin Farz Namazon ke waqt rukna hota hai.
10. Tawaf ke baad kya karna hota hai?
Tawaf ke baad:
- Maqam-e-Ibrahim Ke Piche or Poore hamaram me kahi bhi 2 rakat Wajidb Tawaf Nafil namaz padhein.
- Zamzam ka paani piyen aur dua karein.
- Agar umrah ka tawaf ho toh Safa-Marwah ki Sa’i karein fir Halk (Pure Baal Cut karna Yani Takla karna Hai .. thode baal nahi cut kar sakte – Dum(Qurbani) deni Hogi ) Saii aur Halk Karna Wajib hai ).
11. Tawaf karte waqt kaunsi ghaltiyan nahi karni chahiye?
Tawaf mein ghaltiyan jo nahi karni chahiye:
- Bheed mein dhakka dena – ye ghalat hai.
- Mobile se Baate ya Video banana– Tawaf ahem ibadat hai.
- Bina wuzu tawaf karna – tawaf ke liye wuzu zaruri hai. (Pehle 3 chakkar me wazu toote toh pehle se Tawaf Shuru karna hoga aur 3 chakkar ke baad waju toote toh aap 3 se resume kar saktt hai)
- Galat taraf chalna – tawaf hamesha anti-clockwise hota hai.
- Tawaf aap kitne baar bhi kar sakte hai aur aaram se kar sakte hai .
- Nazro ki Hifazat Karna
- Tawaf Normal dress aur ihram wale dress me kar sakte hai.. par Umrah karne ke liye ahram zaruri hai farz hai.
12. Tawaf ke dauraan namaz ka waqt ho jaye to kya karein?
Agar tawaf ke dauraan namaz ka waqt ho jaye to:
- Tawaf wahi chhod kar namaz padhein.
- Namaz ke baad wapas wahi se tawaf shuru karein jahan chhoda tha.
13. Tawaf karne mein kitna waqt lagta hai?
Tawaf mein:
- Bheed ho to 40 se 60 minute lagte hain.
- Kam bheed ho to 20-30 minute mein ho jata hai.
14. Kya tawaf mein mobile ya camera use kar sakte hain?
Tawaf Imp ibadat hai Namaz jaise .. Mobile NAHI use karna hai (Video/Selfies)… aap Tawaf hone baad use kare.
15. Tawaf karte waqt behtareen dua kya hai?
Tawaf mein koi bhi dua padh sakte hain, lekin ye dua behtareen hai:
“Rabbana aatina fid-dunya hasanah wa fil-akhirati hasanah wa qina azaban naar.”
(Ya Allah! Humein duniya mein bhi bhalai de aur aakhirat mein bhi bhalai de, aur humein dozakh ke azaab se bacha le.)
16. Tawaf ke faide kya hain?
Tawaf ke faide:
- Gunahon ki maafi hoti hai.
- Allah ki rahmat aur barkat milti hai.
- Dil mein sukoon aur roohani taskeen hoti hai.
- Jannat mein jagah milne ki ummeed hoti hai.
17. Kya aurat tawaf karte waqt dupatta hata sakti hai?
Nahi, aurat ke liye poora hijab zaruri hai. Tawaf ke dauraan bhi dupatta hatana jayaz nahi hai.
18. Kya tawaf ke dauraan baat kar sakte hain?
Haan, Sirf zarurat ki baat karni chahiye.
19. Kya tawaf ghair-mehram ke saath kar sakte hain?
Haan, lekin parda ka khayal rakhna chahiye. Ghair-mehram se doori banakar tawaf karna chahiye.
20. Tawaf ke baad Allah se kya maangna chahiye?
Tawaf ke baad apni magfirat, jannat aur hidayat ki dua maangni chahiye. Ye dua padhna behtareen hai:
“Allahumma innaka afuwwun tuhibbul afwa fa’fu anni.”
(Ya Allah! Tu maaf karne wala hai, maafi ko pasand karta hai, mujhe bhi maaf farma.)
21. Kya tawaf me Apne wife ka haat Pakad sakte hain?
Haan, lekin Shehwat ke jazbaat Shuru nahi hona chahiye.
22. Kya Scooter Pe Tawaf Kar Sakte Hai ?
Jis Shaks Ko Bilkul Chalna nahi aara Sirf vahi Maazur log Scooter se tawaf kar sakta hai. Jinhe chalne aata hai vo Scooter pe Tawaf Naa Kare. (STRICTLY NO)
Ihram
1. Ihram kya hai?
Ihram 2 Kapde ka Naam hai jo paak libaas hai jo Haj aur Umrah ke liye pehna jata hai. Ye ibadat ka ek aham hissa hai.
2. Ihram pehnne ka waqt kab hota hai?
Ihram Haj aur Umrah ki niyyat karne se pehle miqaat se pehle pehna jata hai.
3. Miqaat kya hota hai?
Miqaat wo jagah hai jahan se Haj ya Umrah karne wale ko Ihram pehnna lazmi hota hai.
4. Ihram ke kapde ka rang kya hota hai?
Mardon ke liye safed rang ka do kapdon ka set hota hai. Auraton ke liye aam kapde par parda karna zaroori hota hai. Cap Pehen Sakte hai Parde ke liye. chehre pe Kapda Nahi Lagna Chahiye,
5. Ihram pehnne ke baad kaunse kaam mana hai (Ihram ki Pabandi) ?
Ihram me galat baat karna, larai-jhagda karna, Attar/ Khushboo Wali cheeze crem, toothpaste soap lagana, Nakhun Kaatna , Oil Lagana, bal katwana, Mard ka badan kisi hissaab se sila hua kapda pehnna, Mard ke liye sir dhankna, Mard aur aurat dono ke liye chehre ko kapde se dhankna ya chehre se kapda lagana, Mard ke liye joota pehnna jisse se paon ka upar wala hissa chhup jaye. Tel, surma, sabun, laip, sigret, tambakoo ya uske koi bhi product ka istemal karna, Ek mard aur ek aurat jo shadi-shuda na ho, unke beech mein raabta banana ya talaaq ka ada na karna aur shikar karna mana hai.
6. Ihram me kitne kapde pehne jate hain?
Mardon ke liye do kapde hote hain: ek kamar par lapetna (izaar) aur doosra upar se oodhna (rida).
7. Kya auratein bhi Ihram pehnti hain?
Haan, auratein bhi Ihram pehnti hain lekin wo apne aam kapdon me rehti hain, sirf apne chehre par parda nahi karti hain.
8. Ihram pehne ke baad perfume lagana jaiz hai?
Nahi, Ihram me perfume ya koi bhi sugandhit cheez lagana mana hai.
9. Ihram me bal katwana mana hai?
Haan, Ihram me bal katwana ya takleef pohchana mana hai.
10. Ihram me naakhun katwana mana hai?
Haan, Ihram me naakhun katwana bhi mana hai.
11. Ihram me shikar karna mana hai?
Haan, Ihram me kisi bhi janwar ka shikar karna ya usay takleef dena mana hai.
12. Ihram me paani me naha sakte hain?
Haan, lekin sugandhit sabun ya shampoo ka istemal nahi karna chahiye.
13. Kya Ihram me paon dhakna zaroori hai?
Mardon ke liye paon khule rakhne chahiye, jabki auratein apne paon dhak sakti hain.
14. Kya Ihram me moze pehn sakte hain?
Nahi, mardon ke liye Ihram me moze pehnna mana hai.
15. Ihram me chappal kaunse hone chahiye?
Mardon ke liye aise chappal hone chahiye jo paon ka zyada hissa khula rakhe.
16. Ihram me galti se perfume lag jaye to kya karna chahiye?
Galti se perfume lag jaye to wudhu kar lein aur galti par Allah se maafi maangein. Sadka Kare.
17. Ihram me mask pehnna jaiz hai?
Nahi, Ihram me mardon ke liye chehra dhakna mana hai, lekin auratein mask pehn sakti hain.
18. Ihram me larai-jhagda karna mana hai?
Haan, Ihram me larai-jhagda, bure alfaz bolna aur bura sulook karna mana hai.
19. Ihram me mobile phone use kar sakte hain?
Haan, mobile use kar sakte hain lekin gandi baatein ya ghalat cheezein dekhne se bachein.
20. Ihram utarne ka tareeqa kya hai?
Ihram utarne ke liye Haj ya Umrah ke mukammal hone par bal katwane ke baad Ihram utara jata hai.
21. Ihram Pehenne ke baad kya karna hai?
Ihram pehne ke baad niyyat karen aur “Labbaik Allahumma Labbaik…..” padhkar 2 rakat Namaz padhe. maangen.
22. Ihram me galti ho jaye to kya karna chahiye?
Mufti Sahab Se Puchein. Galti par Allah se tauba karein aur sadaqa ya dam (qurbani) den.
Umrah
4 Cheezein Jo Umrah Mein Karni Hoti Hai – 2 Farz (Ihram , Tawaf )-2 Wajib (Saii, Halk)
- Ihram – Ihram pahnein, Labbaik padhein, Niyat karein Mikat se pehle aur Ihram ki pabandiyon ka khayaal rakhein.
- Tawaf – Kaaba ke 7 chakkar lagayen – 3rd Kalma aur Rabbana aatina padhein.
- Saie – Safa se Marwah aur Marwah se Safa tak total 7 chakkar – 4th Kalma padhein.
- Halk – Baal poori tarah mundhwa lein ya har taraf se barabar kaat lein.
1. Umrah kya hai aur yeh kab ki ja sakti hai?
Umrah ek Islamic pilgrimage hai jo Muslims saal ke kisi bhi time perform kar sakte hain, Haj ke mukhalif jo specific dates mein hota hai.
2. Umrah karne ka pehla step kya hai?
Pehla step Ihram pehenna hai jo ek spiritual state hai aur special clothing pehnte hain.
3. Mardon aur auraton ke Ihram mein kya farq hai?
Mard: Do white, unstitched kapde (izar aur rida).
Aurat: Simple, loose-fitting stitched kapde jo puri body cover karein.
4. Miqat kya hota hai aur iska kya importance hai?
Miqat woh boundary hai jahan se pehle Ihram pehenna compulsory hai. Iske bina Umrah accept nahi hoti.
5. Niyyah kaise karein Umrah ke liye?
Ya Allah Mai Umrah ki Niyat Karta hu Mujhe Umrah karna Aasan Farma aur Qabul Farma. Dil se aur verbally “Allahumma inni uridu al-umrata fa yassirha li…” padh kar intention karein.
6. Talbiyah kya hai aur kaise padhein?
“Labbaik Allahumma Labbaik…” yeh special dua hai jo Ihram mein baar-baar padhni chahiye.
7. Kaaba pahunch kar pehla kaam kya karein?
Hajar-e-Aswad ko kiss karein ya salute karein (Istilam) “Bismillah Allahu Akbar” keh kar.
8. Tawaf kya hota hai aur kitni baar karna hota hai?
Kaaba ke 7 rounds (circuits) karna hota hai, jo Tawaf kehlata hai.
9. Raml kya hota hai aur kab karna chahiye?
Pehle 3 rounds mein mardon ko brisk walk karna hota jise Raml kehte hain.
10. Maqam-e-Ibrahim ke pas kya karein?
Tawaf ke baad 2 rakat namaz padhein, Maqam-e-Ibrahim ke pas ya kahi aur.
11. Zamzam pani peene ka kya tariqa hai?
Tawaf ke baad Zamzam peein, standing position mein “Bismillah” keh kar aur “Allahumma inni as’aluka ‘ilman nafi’an…” padhein.
12. Safa aur Marwa ke beech Sa’i kaise karein?
7 chakkar lagane hote hain (Safa se Marwa = 1, Marwa se Safa = 2), total 3.5 km.
13. Sa’i ke dauraan koi specific dua padhni chahiye?
“Rabbighfir warham wa tajawaz ‘amma ta’lam…” aur anya masnoon duaein padh sakte hain.
14. Umrah complete karne ke liye last step kya hai?
Sa’i ke baad bal katwana ya mundwana (Halaq/Taqsir) karna hota hai, jisse Ihram khatam hota hai.
15. Kya Umrah ke baad Ihram ke kapde utaar sakte hain?
Haan, bal katwane/mundwane ke baad normal kapde pehan sakte hain.
16. Umrah ke baad Madinah ja sakte hain?
Haan, Umrah complete karne ke baad Madinah ziyarat ke liye ja sakte hain.
17. Umrah mein kis tarah ki galtiyan avoid karein?
- Ihram rules break na karein
- Tawaf/Sa’i mein ginti na bhoolen
- Safa-Marwa ke sahi starting points follow karein
18. Kya Umrah ke liye guide zaroori hai?
Nahi, lekin pehli baar mein guide ya experienced person ke sath jaana behtar hai.
19. Umrah ke liye konsi duaein yaad karein?
- Talbiyah
- Tawaf/Sa’i ki duaein
- Istighfar aur Durood Sharif
21. Kya Umrah ke dauraan camera use kar sakte hain?
Haan, lekin Haram ke andar photography rules follow karein.
22. Agar koi round miss ho jaye to kya karein?
Jahan galti hui wahan se dobara shuru karein aur complete karein.
23. Umrah ke liye konsi important places visit karein?
- Masjid al-Haram
- Jabal al-Noor (Ghar-e-Hira)
- Masjid-e-Ayesha (Tan’eem)
24. Umrah ke liye minimum kitne din ka plan banana chahiye?
Kam se kam 5-7 din ka plan banayein taaki araam se sab rituals perform kar sakein.
25. Kya bachon ka bhi Ihram hota hai?
Haan, lekin unke liye rules flexible hain. Agar bal na katwayein to koi dam nahi.
26. Umrah ke baad kya dua zaroor padhni chahiye?
“Allahumma aj’alhu hajjan mabruran wa zanban maghfuran…” aur apni marzi ki duaein.
27. Kya Umrah ke dauraan mobile use kar sakte hain?
Haan, lekin Haram mein silent mode mein rakhein aur be-ja use na karein.
28. Agar kisi ko health issues ho to Umrah kaise karein?
Wheelchair facility available hai. Bade boodhon aur patients ke liye special arrangements hote hain.
29. Umrah ke liye konsi important cheezein sath le jayein?
- Comfortable shoes
- Dua book
- Essential medicines
- Ihram ke spare kapde
30. Umrah ke baad wapas aane ka best tareeka kya hai?
- Apne gunahon se tauba karein
- Achche amal continue karein
- Dusron ko Umrah ka tareeka sikhlayein
MINA (8 to 13 Zil Hajj)
1. Mina kya hai?
Mina ek maidan hai jo Makkah ke paas hai, jahan Hajj ke doran hajiyon ka qayaam hota hai.
2. Mina mein hajiyon ka qayaam kitne din hota hai?
Hajiyon ka Mina mein qayaam 8 Zilhajj se lekar 12 Zilhajj tak hota hai.
3. Mina mein rehne ka kya maqsad hai?
Mina mein rehne ka maqsad Hajj ke arkaan ko ada karna hai, jaise ki Rami (pathar maarna) aur Ibaadat karna.
4. Mina mein kaunse arkaan ada kiye jaate hain?
Mina mein Rami, qurbani, aur baalon ka munhwana ya kaatna jaise arkaan ada kiye jaate hain.
5. Rami kya hota hai?
Rami ek amal hai jisme hajiyon ko Mina mein shaitaan ko pathar maarne ka amal ada karna hota hai.
6. Mina mein Rami kitne din hoti hai?
Rami 10, 11, aur 12 Zilhajj ko hoti hai. Kabhi-kabhi 13 Zilhajj ko bhi ki jati hai.
7. Mina mein hajiyon ko kitni bar shaitaan ko pathar maarne hote hain?
Hajiyon ko 10 Zilhajj ko 7 pathar maarne hote hain, aur 11 aur 12 Zilhajj ko 21 pathar (7-7-7) maarne hote hain.
8. Mina mein qurbani ka kya maqsad hai?
Mina mein qurbani karna Allah ki raza haasil karne aur Hajj ko mukammal karne ka hissa hai.
9. Mina mein kon kon si suhulatein hoti hain?
Mina mein hajiyon ke liye khaimay, bathrooms, pani aur khane ka intezaam hota hai.
10. Mina mein Rami ke waqt ka kya waqt hota hai?
10 Zilhajj ko Fajr ke baad se lekar Maghrib tak Rami hoti hai, jabki 11 aur 12 Zilhajj ko Zawal ke baad Rami ki jati hai.
11. Mina mein rehne ke liye kya tayyari karni chahiye?
Hajiyon ko Mina mein rehne ke liye ihram, khula safa kapda, aur zyada se zyada paani le kar jaana chahiye.
12. Mina se Arafat ka safar kab hota hai?
Hajiyon ko 9 Zilhajj ki subah Mina se Arafat le jaya jata hai.
13. Mina mein Ibaadat ka kya maqsad hai?
Mina mein Ibaadat karna Allah ki raza haasil karne aur gunahon se maafi maangne ka tareeqa hai.
14. Mina mein raat guzaarne ka maqsad kya hai?
Mina mein raat guzarna Sunnat Hai. Raat guzaarne ka maqsad Allah ki ibaadat aur gunahon se maafi maangna hota hai.
15. Mina se Hajj mukammal hone ke baad kya kiya jata hai?
Mina se Hajj mukammal hone ke baad hajiyon ko Makkah wapas laaya jata hai aur Tawaf-e-Wida kiya jata hai.
16. Mina tents mein rehne ke kya rules hain?
- Pilgrims ko apne assigned tents mein rehna hai.
- Tents ke number aur location yaad rakhne chahiye
- Safety, Discipline and cleanliness follow karne chahiye.
- 2-3 Mobile numbers i-card ke piche pen se likhna hai
- Mina ke Tent ka current location Apne Partner ko send kar ke save rakhna hai.
- Mina ke Tent Road No. Pole No yaad rakhna hai.
17. Mina mein khane ka intezam kaise hota hai?
- Saudi authorities tents mein khana pahunchate hain
- Pilgrims apna dry snacks bhi le ja sakte hain
- Chai and Snacks Items bahar stalls me available hota hai.
18. Mina mein bathroom facilities kaisi hoti hain?
- Common bathroom blocks available hote hain
- Morning/evening peak hours mein line lag sakti hai. Namaz ke 1 hr pehle hi wazu kar le.
- Personal hygiene maintain karein, baal cut kare toh saaf bhi kare , kachra aur kisi se na uljhe.
19. Mina se Makkah wapas kaise jayein?
- 12th Zil-Hijj ko aur 13th Zil-Hijj ko bhi buses available hoti hain
- Walking bhi option hai (approx 5-7 km). Taxi ke bohot high rates hote hai
- Crowd management follow karein
20. Kya Mina mein mobile network available hai?
Haan, lekin network heavy crowd ki wajah se slow ho sakta hai.(Recharge Makkah me hi kar le)
21. Mina mein mobile charging facilities available hain?
Haan, kuch tents mein charging points available hote hain, lekin power bank le jana behtar hai.
22. Mina mein ladies ke liye special facilities kya hain?
- Separate bathroom facilities
- Ladies medical camps
- Security staff available
23. Mina mein kya cheezein le jana allowed nahi hai?
- Cooking appliances
- Inflammable items
- Weapons of any kind
24. Mina mein kya dua padhni chahiye?
- Istighfar
- Durood Sharif
- Apni marzi ki personal dua
- Namaz Jamat ke sath on Time.
25. Mina experience ko better kaise banayein?
- Sabar aur tahammul se kaam lein
- Dusron ki madad karein
- Spiritual benefits par focus karein
ARAFAT – 9 Zil Hajj Ka Din
Arafat mein kya padhna chahiye?
- Bohot Dua Karna – 2 se 3 Hrs (Minimum)
- Istighfar -100 times
- Durood E IBrahim aur usme LAst me add karo – “Wa alaina ma aa-hum” -100
- 4th Kalma – 100
- Surah Ikhlas With Bismillah -100
- “La ilaha illallah” ki kasrat
- zohar aur asar Namaz ke waqt pe padhe . Agar masjid -e-Nimra me gaye toh waha(Zohar-Asar 1 sath) imam ke piche padhe ..
- Bina magrib padhe. Arafat se Magrib ke baad Nikalne hai. Aur magrib aur isha Muzdalifa me padhna hai .
1. Arafat kya hai?
Arafat ek maidan hai jo Makkah se lagbhag 20 km door hai, jahan Hajj ka sabse ahem rukn ada kiya jata hai.
2. Arafat ka kya maqsad hai?
Arafat ka maqsad Allah se dua karna, gunahon ki maafi maangna aur tauba karna hai.
3. Arafat mein hajiyon ka qayaam kab hota hai?
Hajiyon ka Arafat mein qayaam 9 Zilhajj ko hota hai.
4. Arafat ka din Hajj mein kyun ahem hai?
Arafat ka din Hajj ka sabse ahem hissa hai, kyunki bina Arafat ke qayaam ke Hajj mukammal nahi hota.
5. Arafat mein hajiyon ko kya karna hota hai?
Hajiyon ko Arafat mein Zohar aur Asar ki namaz mila kar ada karni hoti hai aur dua mein mashgool rehna hota hai.
6. Arafat mein dua ka kya maqsad hota hai?
Arafat mein dua ka maqsad Allah se gunahon ki maafi maangna aur rahmat talab karna hota hai.
7. Arafat mein dua ka kya waqt hota hai?
Arafat mein dua ka behtareen waqt Zawaal se lekar Maghrib tak hota hai.
8. Arafat mein imam kya padhta hai?
Arafat mein imam hajiyon ko khutba deta hai, jo Hajj ka ahem hissa hota hai.
9. Arafat mein khutba ka kya maqsad hota hai?
Khutba ka maqsad hajiyon ko Hajj ke arkaan aur Allah ki raza ke baare mein naseehat dena hota hai.
10. Arafat mein raat guzaarna farz hai?
Nahi, Arafat mein raat guzaarna farz nahi hai. Hajiyon ko Maghrib ke baad Muzdalifah ke liye rawana ho jana hota hai.
11. Arafat mein kya dua padhi jati hai?
Arafat mein zyada se zyada “La ilaha illallah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulku wa lahu-l-hamdu wa huwa ‘ala kulli shay’in qadeer” padhi jati hai.
12. Arafat se wapas jaane ka kya tareeqa hai?
Arafat se hajiyon ko Maghrib ke baad Muzdalifah ke liye rawana kiya jata hai.
13. Arafat mein kaunsa amal nahi karna chahiye?
Arafat mein jhagra, bekaar baatein aur gunah nahi karne chahiye.
14. Arafat mein kaunsi sunnat ada ki jati hai?
Arafat mein Zohar aur Asar ki namaz mila kar ada karna sunnat hai.
15. Arafat mein kaunsi jagah sabse zyada fazilat wali hai?
Jabal-e-Rahmat (Rehmat ka pahad) Arafat mein sabse fazilat wali jagah hai.
16. Arafat mein kitni der tak qayaam karte hain?
Hajiyon ko Zawaal se lekar Maghrib tak Arafat mein qayaam karna hota hai.
17. Arafat mein mashhoor dua kaunsi hai?
Arafat mein mashhoor dua “Rabbana aatina fid-dunya hasanah wa fil-akhirati hasanah wa qina azaban naar” hai.
18. Arafat mein barish hone par kya karte hain?
Agar Arafat mein barish ho to hajiyon ko sabr ke saath Allah se dua karni chahiye.
19. Arafat mein bimaar logon ka kya intezaam hota hai?
Arafat mein bimaar hajiyon ke liye medical camps ka intezaam hota hai.
20. Arafat mein namaz kis tareeke se padhi jati hai?
Arafat mein Zohar aur Asar ki namaz mila kar padhi jati hai, jo Hajj ki sunnat hai.
21. Arafat ka khutba sunna zaroori hai?
Haan, Arafat ka khutba sunna zaroori hai kyunki ye Hajj ka ahem hissa hai.
22. Arafat mein zyada waqt kis amal mein lagana chahiye?
Arafat mein zyada waqt dua, tasbeeh aur Allah ki ibaadat mein lagana chahiye.
23. Arafat se Muzdalifah kaise jana hai?
Maghrib ke baad buses or Metro available hoti hain, walking bhi option hai (approx 7-9 km).
24. Arafat mein bathroom facilities kaisi hain?
- Temporary bathroom blocks available hote hain
- Ladies aur gents ke alag-alag sections hote hain
- Cleanliness maintain karein
25. Arafat mein khana kaise milega?
- Saudi authorities khana distribute karti hain
- Pilgrims apna dry snacks le ja sakte hain
- Pani aur Juices available hota hai
Muzadalifa – (9th Sham se 10th fazar tak)
1. Muzdalifah kya hai aur iska kya maqsad hai?
Muzdalifah ek sacred area hai jahan pilgrims 9th Zil-Hijj ki raat (Arafat se baad) guzarte hain aur pebble (jamarat ke liye) collect karte hain.
2. Muzdalifah mein kitni raat rehna zaroori hai?
Maghrib se fajr ke baad tak yaani Israk tak rukna hai (Nahi ruke toh dum wajib hoga ) rehna wajib hai.
3. Muzdalifah mein kya amal karna chahiye?
- Maghrib aur Isha ki namaz combine karke padhein (Jab bhi aap pohoche)
- Pebbles collect karein (70 recommended, minimum 49)
- Dua aur zikr karein
4. Muzdalifah mein pebble kahan se collect karein?
Pebbles Muzdalifah ke natural stony areas se collect kiye jate hain – size mein chote (chana ke barabar) hone chahiye.
5. Kya Muzdalifah mein sone ki ijazat hai?
Haan, lekin midnight tak rehna zaroori hai. Iske baad rest ke liye so sakte hain.
6. Muzdalifah mein khana kaise milega?
- Saudi authorities snacks distribute karti hain. Arafat se hi sath me leke jana hai.
- Pilgrims apna dry khana (dates, biscuits) le ja sakte hain
- Pani available hota hai
7. Muzdalifah mein bathroom facilities kaisi hain?
- Temporary mobile toilets available hote hain.
- Ladies aur gents ke alag sections
- Subah tak lines lambi ho sakti hain
8. Muzdalifah se Mina kaise jayein?
Fajr se pehle buses ,Metro Train available hoti hain, walking bhi option hai (approx 5-7 km).
9. Kya Muzdalifah mein mobile network chalta hai?
Ha Chalta hai, lekin heavy usage ki wajah se slow ho sakta hai.
10. Muzdalifah mein kya cheezein sath le jayein?
- Plastic bag (pebbles ke liye)
- Light blanket/sleeping bag
- Water bottle and snacks.
11. Muzdalifah mein safety tips kya hain?
- Apna group mark karein
- Meeting point decide karein
- Pebbles collect karte waqt caution rakhein
12. Kya Muzdalifah mein AC facilities available hain?
Nahi, open area hai – natural environment Khule aasman ke niche rehna parta hai.
13. Muzdalifah mein first aid kahan milegi?
- Indian medical camps available hote hain
- Saudi Red Crescent emergency posts hote hain
14. Muzdalifah mein ladies ke liye kya facilities hain?
- Separate bathroom areas
- Ladies-only resting zones
- Security staff available
15. Muzdalifah mein kya avoid karein?
- Beja ka shor-o-ghul
- Garbage idhar-udhar phenkna
- vazu tootne naa de. (Bathroom ko line bohot hoti hai)
16. Muzdalifah mein kya weather expect karein?
- Raat ko thand ho sakti hai
- Dusty conditions possible
- Morning mein garmi shuru ho jati hai
17. Kya Muzdalifah mein wheelchair available hai?
Haan, elderly aur disabled pilgrims ke liye special arrangements hote hain.
18. Muzdalifah mein kya dua padhni chahiye?
- Istighfar
- Durood Sharif
- “La hawla wa la quwwata illa billah”
19. Muzdalifah experience ko better kaise banayein?
- Sabar se kaam lein
- Natural environment ka lutf uthayein
- Spiritual benefits par focus karein
20. Kya Muzdalifah se direct Makkah ja sakte hain?
Nahi, pehle Mina jana zaroori hai Jamarat pe kankari maarne ke liye.
21. Muzdalfa mein sone ka kya hukm hai?
Muzdalfa mein hajiyon ke liye zameen par sone ki sunnat hai.
22. Muzdalfa mein Allah ka zikr karna kitna afzal hai?
Muzdalfa mein Allah ka zikr karna bohot afzal hai kyunki ye maqbool jagah hai.
23. Muzdalfa mein kaunsi dua padhi jaye?
Muzdalfa mein “Rabbana aatina fid-dunya hasanah wa fil-akhirati hasanah wa qina azaban naar” padhna behtareen hai.
24. Muzdalfa mein namaz jama karne ka kya hukm hai?
Muzdalfa mein Maghrib aur Isha ki namaz mila kar padhna sunnat hai.
25. Muzdalfa mein kitni kankriyan jama ki jati hain?
Muzdalfa mein hajiyon ko Rammi ke liye 70 kankriyan jama karni hoti hain.
Jamrat (10 – 11 -12 Zil Hijj)
10 tarik ko ko aapko jitna jaldi ho sake sirf bade shaitan ko ko 7 kankar Maarna hai. Fir Qurbani karna hai. Qurbani hone ke baad hi Halk karna hai aur fir aap Ihram ki pabandi se nikal jate hai. (Gusl kare aur new dress pehne ). Uske baad aap Tawaf -e Ziyarat aur saii – makkah jaa ke kar sakte hai 10,11,12 ke asar ke pehle dusre aur teersre din (11, 12 zil hijj ) 3 no shaitan ko- Zawal ke baad (7-7-7) kakar maarna hai aur dua karna hai. 13 zil hijj ko agar ho sake toh rukna hai aur zawal ke baad 3 no shaitan ko kankkar maarna hai fir maakah jana hai.
1. Jamarat kya hai aur iska kya maqsad hai?
Jamarat woh teen pillars hain jahan Shaytan ko symbolize kiya gaya hai, aur Haj ke dauraan inhe pebble se marna wajib hai.
2. Jamarat ki ritual kab perform ki jati hai?
10th, 11th aur 12th Zil-Hijj ko – har din 7 pebbles har Jamarah par phekne hote hain.
3. Jamarat ke pillars ka naam kya hai?
- Jamarah-al-Oola (Chhota pillar)
- Jamarah-al-Wusta (Medium pillar)
- Jamarah-al-Aqaba (Bada pillar)
4. Pebbles ka size kaisa hona chahiye?
Chana ke size ke barabar (approx 1 cm) – na zyada bade, na zyada chote.
5. Jamarat par pebble kaise phekein?
“Bismillah Allahu Akbar” keh kar phekein – apne right hand se, pillar ke base par.
6. Kya koi dusre ki taraf se pebble phek sakta hai?
Haan, agar pilgrim weak ya beemar ho aur jo bilkul chal nahi sakteto koi representative (Muakkil) pebble phek sakta hai. (Wheel chair wale ko wheel chair pe jana hai aur maarna hai ) Mufti sahab se puchna fir Reprentative / Wakil banna hai.
7. Jamarat par crowd kaise manage karein?
- late afternoon or evening jayein. raat e gardi nahi hoti (subah sadik se pehle maarna hai)
- Saudi authorities ke instructions follow karein
- Safety barriers ka puraana karein
8. Jamarat par kya safety precautions leni chahiye?
- Comfortable shoes pehnein
- pani aur snacks sath me rakhe.
- Apna group saath rakhein
- mina ka location whatspp pe save rakhne.
- Emergency exits ka pata rakhein
9. Kya Jamarat par mobile phone le ja sakte hain?
Haan, lekin pocket mein secure rakhein – crowd mein gir na jaye.
10. Jamarat par kya cheezein sath le jayein?
- Pebbles (plastic bag mein)
- Water bottle
- Small backpack
- Haj ID card.
11. Jamarat par dua kaise karein?
Har pebble phekne ke baad dua karein – “Allahumma ij’alhu hajjan mabruran…”
12. Kya pebble phekne ke baad wapas le sakte hain?
Nahi, pheka hua pebble wapas nahi uthana chahiye.
13. Kya hum kisi se stone le sathe hai ?
Ha le sakte hai.
14. Jamarat area mein bathroom facilities kahan hain?
Nearby temporary toilets available hote hain – signs follow karein.
15. Jamarat par first aid kahan milegi?
- Indian medical camps
- Saudi Red Crescent posts
- Emergency ambulances
16. Kya ladies Jamarat par ja sakti hain?
Haan, shaam ko jana behtar hai – crowd kam hota hai.
17. Jamarat par wheelchair facilities available hain?
Haan, elderly aur disabled pilgrims ke liye special arrangements lifts hote hain.
18. Jamarat rituals complete karne ke baad kya karein?
- Bal katwaen/mundwaen (Halaq/Taqsir)
- Normal kapde pehen lein
- Tawaf-e-Ziyarat karein
19. Jamarat par kya galtiyan avoid karni chahiye?
- Jaldi karne ki koshish
- Dusron ko dhakka dena
- Reverse chalna
- Pebbles galat tarah se phekna, jo dusro ko lage aur pillar ko lag ke bahar ki taraf gire (Shaitan ke pillar ke andar jana zaroori hai )isliye pillar ke nazdik jaake maare
20. Jamarat experience ko safe aur spiritual kaise banayein?
- Sabar se kaam lein
- Sunnat ke mutabiq amal karein
- Apni safety aur dusron ki safety ka khayal rakhein