Tarufi Baat | Johar ki Baat – in Roman English


Mohataram buzurgon aur bhaaiyo aapki basti me hamaari jamaat din ki nisbatt par aayi hai, aane waale sabhi imaan waale hai ke allah ka din, hamaari aapki aur saare aalam ke basne waale insaano ki zindagi me kaise aaye ussi fikr ko lekar aana hua hai, aane waale apne – apne mashagil aur masroofiyat me se nikal kar aaye hai, jamaat me aalim, haafiz, aur engineer, taajir aur talaba bhi hai, sabhi log apni – apni mashgooliyat me se nikal kar aaye hai, ye din kaise zindagi me aaye.

Isliye ke nizaam aur kaamyaabi din par chalne ka hi hai, duniya aur aakhirat bhi ek hi raasta hai, din par chalne ki barkat se allah paak duniya ki haqiki kaamyabi dene, ke dilon ke andar, chain sukoon, itemenan ata farmaayega, rozi me barkat ata farmaayega, apni qudrat se ijzat ata farmaayega, saari makhlooq ke dilon me mehboobiyat ata farmaayega,pareshaniyon ko door karenge, ye din duaon ka kulub karenge, aur aakhirat to hi hai musalman ke liye waha hi din par chalne waala hi ka kaamyabi hoga, kab jannat ka bagh banegi arsh me allah ke saath naasibi hoga, pulsiraat par bijli ki tarah upar hogi naam e aamal seedha haat me milega aur hamesha ki jannat me nizaam milegi aur jannat hamesha – hamesha ka thikana banegi din asal me barkat ka naam hai, aadmi jeet shobha me bhi to usme din ko apnaaya fir usme shobha hi rehta hua allah use kaamyab karega, ek taajir apni tijaarat ke din ka ikhtiyaar kare, sunnat aur shareeyat ke mutabiq tijaarat kare to sacchi khabar dene waale janaab rasool paak sallallahu alaihi wa sallam ne khabar di allah kal hashr ke maidaan me us taajir ka hashr Ambiya, siddiqeen, aur shohda ke saath farmaayega, ek hakeem apni hukumat me din ka ikhtiyaar kare, sirf adal wa insaaf ke saath hukumat kare, hashr ke maidaan me allah use apne arsh ke saaye me jagah dega, gareeb apni guzarat ka din par chale allah ki tasveer aur raazi rehte hue zindagi guzare, farmaa rasool paak sallallahu alaihi wa sallam ne ke apne waqt ke amniya yaani amiro se paanch sau saal pehle jannat me daakhil honga.

Ye din mehnet se zindagi me aayega aur mehnet hi baaki rahega.Is buniyad par hamaari jamaat aapki basti me aayi hai, ki deen kaise hamaare apne zindagi me is basti me aur saare aalam me zinda ho jaye, iski mehnat karna hai hum aane waale sabhi ajnabhi hai apni basti ki zubaan ko sahi jaante aur mehnat miljul kar karte hai aap hamaara saath dena, taawan karein, raheyi karein, apne avkaat ko faari karein, hamaare saath rahoge to inshaallah basti me khoob deen ki mehnat hogi aur khoob kaam hoga, fir jitni bhi khair barqat me aayegi aur jitna bhi deen zinda hoga, namaaz zinda hogi, tasbeeh tilaawat zinda hogi, log allah ke raste se nikalenge, isi tarah aur bahaana saari allah jaane kitni khair zinda hogi to usme hum sabka barabar hissa hoga, inshaallah hum logon ki aur aap ko barabar ajar milega. Isliye bataaiye aapki basti me jab tak hamaari jamaat rahegi kaun – kaun poora saath dega.

Tashkeel


Asal me ye kurbani aap hazraat ki hogi aur inshaallah iske nateeje zarur aayenge, mohataram dosto buzurgon din ke mehnat ki zimmedaari har imaan waale ki hai, aur har ek chaahat bhi hai ke mehnat kare, lekin kabhi kisi ko majboori aur taqaaze rehte hai, is wajah se poora waqt nahi de sakte, isliye kam ajj kare ye to iraada kare ke jis waqt farigh hai, utna waqt faari karke is mehnat me shareek ho jaaye, aur aate jaate apne saathi ko bhaaiyo aur dosto ko bhi dawat de, ke aaj masjid me jamaat aayi hai uska saath dena hai, dawat dene se hamaara sabse bada faayda ye hoga ke hamaara bhaai aaye ya na aaye hamaara aana inshaallah aasaan hoga.

Allah paak hum sabko amal ki taufeeq ata farmaaye.

Leave a Comment