Namaz ke Wajibat in Roman English

Namaz ke 14 Wajibat

  1. Farz namaz ki pehli do rakat ko kiraat ke liye muqarrar karna.
  2. Farz namazon ki pehli 2 rakat mein aur baaki namazon ki har rakat mein Surah Fatiha padna.
  3. Farz namazon ki pehli do rakat mein aur wajib, sunnat aur nafil namazon ki tamaam rakat mein Surah Fatiha ke baad koi aur Surah padna, ya badi ek ayat ya chhoti teen ayat ka padna wajib hai.
  4. Surah Fatiha ko Surah se pehle padna wajib hai.
  5. Kiraat, ruku, sajda aur rakaton ko tarteeb se karna.
  6. Qawmah karna, yani ruku se uth kar seedha khada ho jana. Itni der khada rehna ke SubhanAllah keh sakein.
  7. Jalsa yani dono sajdon ke darmiyan seedha baith jana.
  8. Ta’deel-e-Arkaan yani ruku, sajda waghera ko achi tarah se ada karna.
  9. Qaida Ula mein baithna (yani teen aur chaar rakat wali namaz mein do rakaton ke baad At-Tahiyyat ki miqdaar baithna, jismein At-Tahiyyat padte hain).
  10. Dono qaido mein At-Tahiyyat ka padna wajib hai.
  11. Imam ka Fajr, Maghrib, Isha, Jumuah, Eideen, Taraweeh aur Ramzan mein Witr mein buland aawaz se kiraat karna, yani buland aawaz se Quran padna. Aur Zohr, Asr namaz ko aahista se padna wajib hai.
  12. Lafz-e-Salaam ke saath namaz khatam karna.
  13. Namaz-e-Witr mein Dua-e-Qunoot ke liye Takbeer (Allahu Akbar) kehna aur Dua-e-Qunoot padna.
  14. Dono Eidon ki namaz mein 6 zaid takbeer kehna.

Leave a Comment