Namaz ki Sunnate Full in Detail

Namaz ki Total 51 Sunnate Hai.

Qiyam ki 11 Sunnatein

  1. Takbeere Tahreema ke waqt seedha khada hona, rukh aur nazar Kaaba ki taraf, sar ko jhukana nahi hai.
  2. Dono paon ke beech 4 ungli ka faasla rakhna aur paon ki ungliyon ko Qibla ki taraf rakhna hai.
  3. Takbeere Tahreema imam ki takbeer ke saath kehna hai.
  4. Takbeere Tahreema kehte waqt dono haathon ko kaanon tak uthana hai.
  5. Takbeere Tahreema ke waqt dono hatheliyon ka rukh Qibla ki taraf rakhna hai.
  6. Takbeere Tahreema ke waqt haathon ki saari ungliyan apni asal jagah par rakhna, jaise hoti hain waise hi rakhna hai.
  7. Haath baandhte waqt daaye haath ki hatheli ko baaye haath ki hatheli ke peeth par rakhna hai.
  8. Mardon ko daaye haath ki chhoti ungli aur angutha mila kar baaye haath ka kaada (managat) pakadna hai.
  9. Beech wali 3 ungliyon ko baaye haath ki kalai par rakhna hai.
  10. Mardon ko apne haath naaf ke neeche baandhna hai.
  11. Sana padhna hai.

Kiraat ki 7 Sunnatein

  1. A’oozubillah… padhna, isko Ta’awwuz kehte hain.
  2. Tasmiyah yani poora Bismillah padhna hai.
  3. Alhamdo Shareef ke baad dheere se Ameen kehna hai.
  4. Fajr aur Zohr mein Surah Hujurat se Surah Burooj tak, Asar aur Isha mein Surah Burooj se Surah Lam Yakul tak, Maghrib mein Surah Iza Zulzilat se Surah Naas tak ki suraton mein se koi surah padhna hai.
  5. Fajr ki pehli rakat lambi karna hai.
  6. Quran ko namaz mein na jaldi padhna, na zyada ruk kar, balki darmiyani raftaar se padhna hai.
  7. Sunnat namaz ki teesri aur chauthi rakat mein Surah Fatiha ke baad Surah padhna. (Farz namaz ki teesri aur chauthi rakat mein sirf Surah Fatiha padhna hai.)

Ruku ki 8 Sunnatein

  1. Ruku mein Ruku ki takbeer padhna hai.
  2. Mardon ko apne dono haathon se apne dono ghutne pakadna hai.
  3. Dono haathon ki ungliyon se apne paon ke ghutne pakadna aur ghutnon ko pakadne mein ungliyon ko kushada (khula) rakhna hai.
  4. Paon ki pindliyon ko seedha rakhna hai.
  5. Ruku mein mardon ko apni peeth seedhi rakhni hai.
  6. Ruku mein mardon ko sir aur gardan sureen se seedhi line mein rakhna hai.
  7. Ruku mein kam se kam 3 martaba Subhana Rabbiyal Azeem padhna hai.
  8. Ruku se uthte waqt imam ko Sami’Allahu liman hamidah kehna, muqtadi ko Rabbana lakal hamd kehna, aur munfarid (akele namaz padhne wale) ko dono kehna hai.

Sajde ki 12 Sunnatein

  1. Sajde ki takbeer padhna hai.
  2. Sajde mein sabse pehle apne dono ghutne rakhna hai.
  3. Uske baad apne dono haath zameen par rakhna hai.
  4. Naak zameen par rakhna hai.
  5. Uske baad peshaani ko zameen par rakhna hai.
  6. Dono haathon ke beech sajda karna hai.
  7. Mardon ko sajda karte waqt apne pait ko jangh se alag rakhna hai.
  8. Mardon ko baazu (hath ki kohni) ko pait se alag rakhna hai.
  9. Mardon ko haath ki kohni ko zameen se alag rakhna hai.
  10. Sajde ki haalat mein kam se kam 3 martaba Subhana Rabbiyal A’la kehna hai.
  11. Sajde se uthte waqt takbeer padhna hai.
  12. Dono sajdon se uthte waqt sabse pehle apni peshaani uthana, phir naak, phir dono haath, phir ghutne uthana, aur dono sajdon ke darmiyan itminan se baithna hai.

Qaida ki 5 Sunnatein

  1. Qaida mein mardon ko daaya paon khada rakhna aur baaya paon bicha kar uske upar baithna, aur paon ki panjon ki ungliyon ko Qibla ki taraf mod kar rakhna hai.
  2. Qaida mein dono haathon ke panje maan’di (ghutnon) ke upar rakhna hai.
  3. At-Tahiyyat mein La Ilaha pe daaye haath ki shahadat ki ungli uthana aur Illallah pe jhuka dena hai.
  4. Aakhri Qaida mein Durood Shareef padhna hai.
  5. Durood Shareef ke baad Allahumma inni zalamtu nafsi ya Allahumma Rabbana Atina ye dua padhna hai.

Salaam ki 8 Sunnatein

  1. Dono taraf yani daaye aur baaye salaam ferna hai.
  2. Salaam ki shuruaat daaye taraf se karna hai.
  3. Imam ka farishton, muqtadiyon, saaleh jinnat ki salaam ki niyat karna hai.
  4. Muqtadi ko imam ke saath saath salaam ferna hai.
  5. Doosre salaam ki awaaz pehle salaam ki awaaz se past karna hai.
  6. Masbooq (jiski rakat chhoot gayi ho) ko imam ke farigh hone ka intezar karna hai.
  7. Munfarid yani akele namaz padhne wale ko sirf farishton ki niyat karni hai.
  8. Muqtadi ko imam, farishton, saaleh jinnat aur daaye baaye muqtadiyon ki niyat karni hai.

Leave a Comment